World Pulse

join-banner-text

"Mein ab bhi ussa muhabat krti hoon"! (part II)



Dear World!

Usna poucha tha kal raat mere kahani Kia hai??? Aaj phir sa sawal dohrane lagi???

Ek lambi saans ka baad mena kaha, Ishq krti hoon ussa, wo ishq jo srf insan ek hi baar kr sakta hai....Muhabat tou kai baar hoti hai...haan, ishq krti hoon ussa....

Kc hua ishq unsa apko??? Kia yea pehli nazar wala pyar tha( jisa hum love at first sight) kehta hain...???

Nhy, yea pehli nazar wala nhy tha! Yea tou ek arsa baad hua tha, October ki shaam mera phone par uski call ai thi...Mein doston ka sath garam chai ka chaske la rahi thi mujha kahan pta tha wo khiza ka mausam mere andar ek aandhi paida kr daiga...Mera hosh ura kr le jaiga...Ghar pohnchta hi mena message kiya, or phir youn guftugu ka aghaaz hua...Wo mere ankhon mein jhankta rehta tha najane q par mujha acha lugna laga tha..halaka usa ek saal sa janti thi par kbhi istrah baat cheet nhy hui...Phir roz baat hona lagi , ek saal beet gaya...Phir mujha farq parna laga uski haar baat sa...Mein jaan gai thi mujha ussa muhabat hogai hai... Mena izhaar kiya ussa tou usna kaha mein tou hamesha sa apka dost tha... Mere tou jaisa sare khowab raiza raiza hogai...Aesa laga jesa kisi na saans kheench li ho... Bhut roi thi mein pehli baar itna zyada ka awaz band hogai thi kai din tak khamosh rehna lagi or phir khamoshi adat bun gai....

Tou kia ap ab bhi ???

Han mein ab bhi utna hi chahti hoon mena kaha tha na Muhabat mein shartein nhy hoti hain tou phir mein kc shart rakhti ussa muhabat ki...

Apko nafrat nhy hui ussa kbhi bhi???

Nhy kbhi nhy...kbhi bura alfaaz bhi nhy nikla uska liya... Janti hoon Kyon?? Kyonka wo mera ab bhi ehtraam krta hai...Usa muhabat tou nhy hui mujhsa par wo mere muhabat ki qadar krta hai... Mere haar baat ko tasali sa sunta hai...Mera aga sur jhukata hai...Kc nafrat karon aesa insan sa jo srf muhabat nhy krta mujhsa...Blka ussa bhi zyada izzat or ehtraam krta hai....

Tou phir Kia hua aga apki kahani ki???

Ishq karna wala dastaan likhta hain...Hamari ishq ki dastaan bhi bs kch younhi hai..Ab hum kbhi kbhi baat krta hain...Na usna shadi ki hai or na mena...Khuda jane hamare qismat mein Kia likha gaya hai...

Kia apna kbhi janina ki koshish nhy ki??? Usay apsa muhabat q nhy hui???

Wo mubtila hai kci or ka ishq mein...

Or mein mubtila hoon uska ishq mein...

Anjaam ki parwah na usay hai or na mujha...

Chor diya hai ya mamle khuda ka liya...

Wohi jor banata hai aasmano par...

Wohi muhabat dalta hai logon ka dilon mein...

Wohi krta hai tamam faisla....

Mein dua krti hoon ka ap dono ek sath hojaien....

Nhy mein ab aesa nhy chahti hoon...kyonka ishq wohi amar hota hai jo la-hasil ho jo hasil hojai uska ishq ka qatal hojata hai....

Mein smjhi nhy....???

Ishq la hasil hai???

Ab so jao, Phir baat hogi ispar....

Wo har raat ki trah kch gungunati rhy...shayad yea wohi shairi thi jo usna likhi thi uska liya.....

Suna hai raaz khul jaien tou ehmiat kho deta hain...

Yea raaz e ulfat ki batein hain jo tumhn kehna sa darti hoon...

Magar mere muhabat ka ishare tum bhi tou kch smjho...

Ka tumsa baat krti hoon tou ankhein jhuk si jati hain...

Wajood mein sursari hona lugti hai...

Phir tumsa juda hokar...

Tumhain dhondna lugti hoon..

Tumhare bay-tarteeb cheezon ko tarteeb sa rakhti hoon...

Jahan tm betha krta tha wahin par beth jati hoon...

Tumhare baatein dohrate hoon...

Phir hanste hanste rona lugti hoon...

Yea raaz e ulfat ki batein hain jo tumhn kehna sa darti hoon...

Magar mere muhabat ka ishare tum bhi tou kch smjho...

~summaiya abdul~ 

  • Arts & Culture
  • Log On. Rise Up.
  • Our Voices Rising
  • Collaboration Stories
  • Shout Your Vision
  • Peace for Cameroon
  • Spirit Awards
  • Our Impact
  • Moments of Hope
  • Peace Building
  • Stronger Together
  • South and Central Asia
Like this story?
Join World Pulse now to read more inspiring stories and connect with women speaking out across the globe!
Leave a supportive comment to encourage this author
Tell your own story
Explore more stories on topics you care about